Saturday, August 15, 2015

Na tum bewafa ho, na hum bewafa hai - Lyrics

Na tum bewafa ho, na hum bewafa hai (2)
Magar kya kare apni rahe juda hai
Na tum bewafa ho, na hum bewafa hai

Jaha thandi thandi hawa chal rahi hai (2)
Kisi ki mohabbat waha jal rahi hai
Jami aasaman hum se dono khafa hai
Na tum bewafa ho, na hum bewafa hai

Abhi kal talak to mohabbat Jawaan thi (2)
Milan hi milan tha, judaayi kahaan thi
Magar aaj dono hi be aasara hai
Na tum bewafa ho, na hum bewafa hai

Zamaana kahe meri raho me aaja (2)
Mohabbat kahe meri baahon me aaja
Wo samajhe Na majburiya apani kya hai
Na tum bewafa ho, na hum bewafa hai (2)
Magar kya kare apni rahe juda hai
Na tum bewafa ho, na hum bewafa hai.

Monday, August 10, 2015

Ushe moodidaaga, priye ninna kenneya - Lyrics

Movie: Preeti Vatsalya

Ushe moodidaaga, priye ninna kenneya
Rangannu nodide, mai marethu haadide
Aa megha minchalu, nage minchu ninnadu
Nenapaagi bandide, sihi nova tandide

Hoovarali nintha vele, kanmunde banditalle
Priye ninna kaadige kanna, aa notadandave
Kare needi notadalli, ni ninte dooradalli
Bali bande bayasi ninna, ni hode kaanade
Aa nenapu kaadide nanna, ee bege taalenu chinna
Ushe moodidaaga, priye ninna kenneya
Rangannu nodide, mai marethu haadide

Kaaveri neerinallu, kannada kaavyadallu
Belura baaleyallu, na kande ninnanu
Ondondu bhangiyallu, ondondu bhaavadallu
Ondondu maatinallu, ni selede nannanu
Ni ninte kanakanadalli, nannedeya usirusiralli
Ushe moodidaaga, priye ninna kenneya
Rangannu nodide, mai marethu haadide
Aa megha minchalu, nage minchu ninnadu
Nenapaagi bandide, sihi nova tandide
Ushe moodidaaga, priye ninna kenneya
Rangannu nodide, mai marethu haadide

Friday, August 7, 2015

Mohabbat ke suhaane din - Lyrics

Movie: Maryaada
Original singer: Mohammed Rafi saab
Singer on track: Rajeev Anand
Music director: Kalyanji Anandji


Mohabbat ke suhaane din, jawani ki haseen raate (2)
Judaai me nazar aatee hain, yeh sab khwaab ki baate
Mohabbat ke suhaane din

Yeh tanhai nahee thee, iss jagah thee pyar ke mehfil (2)
Tere ghum se gale mil kar, jahan ab ro raha hai dil
Yahi hans hans ke hotee thee, kabhi apni mulaaqaate
Mohabbat ke suhaane din

Mere maayus hoton pe, tere ghum ki kahanee hai (2)
Kahani yeh nahi ghum ki, yeh ulfat ki nishani hai
Yeh aansu aur yeh aahe, mohabbat ki hai saugaate
Mohabbat ke suhaane din, jawani ki haseen raate
Judaai mei nazar aatee hain, yeh sab khwab ki baate
Mohabbat ke suhaane din

Barbaad-e-Mohabbat Ki Dua saath liye jaa - Lyrics

Movie: Laila Majnu
Original singer: Mohammed Rafi saab
Singer on this track: Rajeev Anand (Appreciate your feedback on my song)
Music director: Shri Madan Mohan


Barbaad-e-mohabbat ki dua saath liye jaa (2)
Toota hua ikraar-e-wafaa saath liye jaa
Barbaad-e-mohabbat ki dua saath liye jaa

Ek dil tha jo pehle hi tujhe saunp diya tha (2)
Yeh jaaan bhi aye jaaan-e-adaa sath liye jaa (2)

Tapti huyi raahon mein, tujhe aanch na pahunche (2)
Deewane ke ashqon ki ghata saath liye jaa (2)

Shaamil hai mera khoon-e-jigar teri hina mein (2)
Yeh kam ho to ab khoon-e-wafaa sath liye jaa (2)

Hum jurm-e-muhabbat ki sazaa payenge tanha (2)
Jo tujhse huyi ho woh khata saath liye jaa (2)
Toota hua ikraar-e-wafaa saath liye jaa
Barbaad-e-mohabbat ki dua saath liye jaa (2)